shor yūñhī na parindoñ ne machāyā hogā
koī jañgal kī taraf shahr se aayā hogā
peḌ ke kāTne vāloñ ko ye mālūm to thā
jism jal jā.eñge jab sar pe na saaya hogā
bānī-e-jashn-e-bahārāñ ne ye sochā bhī nahīñ
kis ne kāñToñ ko lahū apnā pilāyā hogā
bijlī ke taar pe baiThā huā hañstā panchhī
sochtā hai ki vo jañgal to parāyā hogā
apne jañgal se jo ghabrā ke uḌe the pyāse
har sarāb un ko samundar nazar aayā hogā
Kaifi Azmi
شور یوں ہی نہ پرندوں نے مچایا ہوگا
کوئی جنگل کی طرف شہر سے آیا ہوگا
پیڑ کے کاٹنے والوں کو یہ معلوم تو تھا
جسم جل جائیں گے جب سر پہ نہ سایہ ہوگا
بانیٔ جشن بہاراں نے یہ سوچا بھی نہیں
کس نے کانٹوں کو لہو اپنا پلایا ہوگا
بجلی کے تار پہ بیٹھا ہوا ہنستا پنچھی
سوچتا ہے کہ وہ جنگل تو پرایا ہوگا
اپنے جنگل سے جو گھبرا کے اڑے تھے پیاسے
ہر سراب ان کو سمندر نظر آیا ہوگا
کیفی اعظمی
Labels: dard bhari shayari, Famous urdu poets, famous urdu shayari, hijrat shayari, kafi Azmi, mohabbat Shayari, prominent urdu poets, Urdu Shayari Blog