ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے
دشنام تو نہیں ہے یہ اکرام ہی تو ہے
کرتے ہیں جس پہ طعن کوئی جرم تو نہیں
شوق فضول و الفت ناکام ہی تو ہے
دل مدعی کے حرف ملامت سے شاد ہے
اے جان جاں یہ حرف ترا نام ہی تو ہے
دل ناامید تو نہیں ناکام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے
دست فلک میں گردش تقدیر تو نہیں
دست فلک میں گردش ایام ہی تو ہے
آخر تو ایک روز کرے گی نظر وفا
وہ یار خوش خصال سر بام ہی تو ہے
بھیگی ہے رات فیضؔ غزل ابتدا کرو
وقت سرود درد کا ہنگام ہی تو ہے
فیض احمد فیض
ham par tumhārī chaah kā ilzām hī to hai
dushnām to nahīñ hai ye ikrām hī to hai
karte haiñ jis pe ta.an koī jurm to nahīñ
shauq-e-fuzūl o ulfat-e-nākām hī to hai
dil mudda.ī ke harf-e-malāmat se shaad hai
ai jān-e-jāñ ye harf tirā naam hī to hai
dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai
lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai
dast-e-falak meñ gardish-e-taqdīr to nahīñ
dast-e-falak meñ gardish-e-ayyām hī to hai
āḳhir to ek roz karegī nazar vafā
vo yār-e-ḳhush-ḳhisāl sar-e-bām hī to hai
bhīgī hai raat 'faiz' ġhazal ibtidā karo
vaqt-e-sarod dard kā hañgām hī to hai
Faiz Ahmad Faiz
Labels: Dard shayari, Faiz Ahmad Faiz, famous urdu shayari, Hindi Shayari blog, judai shayari, picture shayari, shaam shayari, urdu poetry, Urdu shayari
4 Comments:
بہت ہی خوبصورت واااااااہ
واااہ واااااااہ بہت خوبصورت
Very nice
واااہ واااہ واااہ
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home