Posts

Showing posts from February, 2023

Poet_kaifi Azmi Ghazal _Shor yunhi na parindon ne machaya hoga

Image
shor yūñhī na parindoñ ne machāyā hogā koī jañgal kī taraf shahr se aayā hogā peḌ ke kāTne vāloñ ko ye mālūm to thā jism jal jā.eñge jab sar pe na saaya hogā bānī-e-jashn-e-bahārāñ ne ye sochā bhī nahīñ kis ne kāñToñ ko lahū apnā pilāyā hogā bijlī ke taar pe baiThā huā hañstā panchhī sochtā hai ki vo jañgal to parāyā hogā apne jañgal se jo ghabrā ke uḌe the pyāse har sarāb un ko samundar nazar aayā hogā Kaifi  Azmi  شور یوں ہی نہ پرندوں نے مچایا ہوگا کوئی جنگل کی طرف شہر سے آیا ہوگا پیڑ کے کاٹنے والوں کو یہ معلوم تو تھا جسم جل جائیں گے جب سر پہ نہ سایہ ہوگا بانیٔ جشن بہاراں نے یہ سوچا بھی نہیں کس نے کانٹوں کو لہو اپنا پلایا ہوگا بجلی کے تار پہ بیٹھا ہوا ہنستا پنچھی سوچتا ہے کہ وہ جنگل تو پرایا ہوگا اپنے جنگل سے جو گھبرا کے اڑے تھے پیاسے ہر سراب ان کو سمندر نظر آیا ہوگا کیفی اعظمی