Ghazal _ ham par tumhārī chaah kā ilzām hī to / Poet _ Faiz Ahmad Faiz

ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے دشنام تو نہیں ہے یہ اکرام ہی تو ہے کرتے ہیں جس پہ طعن کوئی جرم تو نہیں شوق فضول و الفت ناکام ہی تو ہے دل مدعی کے حرف ملامت سے شاد ہے اے جان جاں یہ حرف ترا نام ہی تو ہے دل ناامید تو نہیں ناکام ہی تو ہے لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے دست فلک میں گردش تقدیر تو نہیں دست فلک میں گردش ایام ہی تو ہے آخر تو ایک روز کرے گی نظر وفا وہ یار خوش خصال سر بام ہی تو ہے بھیگی ہے رات فیضؔ غزل ابتدا کرو وقت سرود درد کا ہنگام ہی تو ہے فیض احمد فیض ham par tumhārī chaah kā ilzām hī to hai dushnām to nahīñ hai ye ikrām hī to hai karte haiñ jis pe ta.an koī jurm to nahīñ shauq-e-fuzūl o ulfat-e-nākām hī to hai dil mudda.ī ke harf-e-malāmat se shaad hai ai jān-e-jāñ ye harf tirā naam hī to hai dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai dast-e-falak meñ gardish-e-taqdīr to nahīñ dast-e-falak meñ gardish-e-ayyām hī to hai āḳhir to ek roz karegī nazar vafā vo yār-e-ḳhush-ḳhisāl sar-e-bām hī to hai bhīgī hai raat 'faiz...