Ghazal_ aap nur afshan hain raat ke andhere men by Mahfuzur Rahman Adil

aap nur-afshan hain raat ke andhere men  ya sitare raqsan hain raat ke andhere men  ek din vo zarron ko aftab kar lenge  dhoop ke jo khvahan hain raat ke andhere men  kyun nahin jala lete ansuon ki qindilen log kyun hirasan hain raat ke andhere men  khaufnak avazen vahashiyon ke hangame  raunaq-e-bayaban hain raat ke andhere men  raushni to pahunchi hai sirf chand logon tak ab bhi kitne insan hain raat ke andhere men  din ki raushni men jo sab se be-takalluf hai ham se kyun gurezan hain raat ke andhere men  tirgi se ladne ka hausla nahin jin men  Un ke jism larzan hain raat ke andhere men  ujle ujle chehron par aks dilrubai ke kis qadar numayan hain raat ke andhere men  Dhundhte hain sab apne apne ham-navaon ko aaine pareshan hain raat ke andhere men  kis ke naqsh-ha-e-pa rahnuma hue Adil rastey daraḳhshan hain raat ke andhere men  Mahfuzur Rahman Adil آپ نور افشاں ہیں رات کے اندھیرے میں یا ستارے رقصاں ہیں رات کے اندھیرے میں ایک دن وہ ذروں کو آفتاب کر لیں گے دھوپ کے جو خواہ

Poem_Monsoon ki Pahli Barish, Poet _Shabnam firdaus

مون سون  کی پہلی بارش

دیکھو دیکھو
مست پون کا جھونکا آیا
برکھا رت بھی  ساتھ میں لایا
گھن گھن گھن گھن میگھا گرجا 
چھم چھم چھم چھم  پانی پرسا
آؤ سکھیوں 
جھومیں ، گائیں 
دور کھڑی کیا سوچ رہی ہو 
سوچ کی چادر پھینک اتارو 
عمر کی سیما لانگ کے آؤ
اپنی خاطر وقت نکالو  
 ہاتھ میں بوندیں  لے کر دیکھو 
وقت کا پہیہ پیچھے ٹھیلو
آؤ آؤ 
ناچیں گائیں
بارش کے سنگ پھر سے جی لیں   
چھپ چھپپ چھپ ،چھپ 
ایسے کودیں  
ٹیشن سارے سرپٹ بھاگیں

جلدی آؤ 
کاغذ کی اک ناؤ بناؤ
پچپن ، پچپن ، مل کے  کھیلیں
پانی کے ریلے سنگ بہہ لیں 
یاد کی گلیاں سیر کریں ہم
شبنم فردوس


Monsoon Ki Pahli Barish 

dekho dekho 
mast pawan ka jhonka aaya
Berkha rut bhi sath me laaya
Ghann ghann ghann ghann megha garja
Chham chham chham chham pani bersa
Aao sakhiyon
Jhoomen, gaayen
Dur khadi kya soch rahi ho
Soch ki chadar phenk utaro
Umr ki seema laang k aao
Apni khatir waqt nikalo
Haath me boonden le ker dekho
Waqt ka pahiyya pichhe thelo
Aao ,aao
Nachen , gaayen
Barish ke sang phir se ji len 
Chhap-Chhap, Chhap-Chhap 
Aese kuden
Tension  saarey sarpat  bhaagen

Jldi aao
Kaghaz  Ki  ek nao  banao 
Bachpan, bachpan mil ke khelen
Pani ke relay sang bahlen
Yaad ki galiyan saer kren hum

Shabnam firdaus

Comments

Anonymous said…
Wahhhhhh
Charu said…
Wah wah
یاسمین عباسی said…
واااااااہ خوووب
Sofia naz said…
خوبصورت واااااااہ