Ghazal_ aap nur afshan hain raat ke andhere men by Mahfuzur Rahman Adil

aap nur-afshan hain raat ke andhere men  ya sitare raqsan hain raat ke andhere men  ek din vo zarron ko aftab kar lenge  dhoop ke jo khvahan hain raat ke andhere men  kyun nahin jala lete ansuon ki qindilen log kyun hirasan hain raat ke andhere men  khaufnak avazen vahashiyon ke hangame  raunaq-e-bayaban hain raat ke andhere men  raushni to pahunchi hai sirf chand logon tak ab bhi kitne insan hain raat ke andhere men  din ki raushni men jo sab se be-takalluf hai ham se kyun gurezan hain raat ke andhere men  tirgi se ladne ka hausla nahin jin men  Un ke jism larzan hain raat ke andhere men  ujle ujle chehron par aks dilrubai ke kis qadar numayan hain raat ke andhere men  Dhundhte hain sab apne apne ham-navaon ko aaine pareshan hain raat ke andhere men  kis ke naqsh-ha-e-pa rahnuma hue Adil rastey daraḳhshan hain raat ke andhere men  Mahfuzur Rahman Adil آپ نور افشاں ہیں رات کے اندھیرے میں یا ستارے رقصاں ہیں رات کے اندھیرے میں ایک دن وہ ذروں کو آفتاب کر لیں گے دھوپ کے جو خواہ

Sahir Ludhianvi / Ghazal / Dekha hai zindagi ko kuchh itne qareeb se

دیکھا ہے زندگی کو کچھ اتنے قریب سے
چہرے تمام لگنے لگے ہیں عجیب سے

اے روح عصر جاگ کہاں سو رہی ہے تو
آواز دے رہے ہیں پیمبر صلیب سے

اس رینگتی حیات کا کب تک اٹھائیں بار
بیمار اب الجھنے لگے ہیں طبیب سے

ہر گام پر ہے مجمع عشاق منتظر
مقتل کی راہ ملتی ہے کوئے حبیب سے

اس طرح زندگی نے دیا ہے ہمارا ساتھ
جیسے کوئی نباہ رہا ہو رقیب سے

 ساحر لدھیانوی 


देखा है ज़िंदगी को कुछ इतने क़रीब से
चेहरे तमाम लगने लगे हैं अजीब से

ऐ रूह-ए-अस्र जाग कहाँ सो रही है तू
आवाज़ दे रहे हैं पयम्बर सलीब से

इस रेंगती हयात का कब तक उठाएँ बार
बीमार अब उलझने लगे हैं तबीब से

हर गाम पर है मजमा-ए-उश्शाक़ मुंतज़िर
मक़्तल की राह मिलती है कू-ए-हबीब से

इस तरह ज़िंदगी ने दिया है हमारा साथ
जैसे कोई निबाह रहा हो रक़ीब से

  साहिर लुधियानवी 



dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se

ai rūh-e-asr jaag kahāñ so rahī hai tū
āvāz de rahe haiñ payambar salīb se

is reñgtī hayāt kā kab tak uThā.eñ baar
bīmār ab ulajhne lage haiñ tabīb se

har gaam par hai majma-e-ushshāq muntazir
maqtal kī raah miltī hai kū-e-habīb se

is tarah zindagī ne diyā hai hamārā saath
jaise koī nibāh rahā ho raqīb se

Sahir Ludhianvi

Comments