Ghazal_ aap nur afshan hain raat ke andhere men by Mahfuzur Rahman Adil
aap nur-afshan hain raat ke andhere men ya sitare raqsan hain raat ke andhere men ek din vo zarron ko aftab kar lenge dhoop ke jo khvahan hain raat ke andhere men kyun nahin jala lete ansuon ki qindilen log kyun hirasan hain raat ke andhere men khaufnak avazen vahashiyon ke hangame raunaq-e-bayaban hain raat ke andhere men raushni to pahunchi hai sirf chand logon tak ab bhi kitne insan hain raat ke andhere men din ki raushni men jo sab se be-takalluf hai ham se kyun gurezan hain raat ke andhere men tirgi se ladne ka hausla nahin jin men Un ke jism larzan hain raat ke andhere men ujle ujle chehron par aks dilrubai ke kis qadar numayan hain raat ke andhere men Dhundhte hain sab apne apne ham-navaon ko aaine pareshan hain raat ke andhere men kis ke naqsh-ha-e-pa rahnuma hue Adil rastey daraḳhshan hain raat ke andhere men Mahfuzur Rahman Adil آپ نور افشاں ہیں رات کے اندھیرے میں یا ستارے رقصاں ہیں...
Comments