Ghazal_ aap nur afshan hain raat ke andhere men by Mahfuzur Rahman Adil

aap nur-afshan hain raat ke andhere men  ya sitare raqsan hain raat ke andhere men  ek din vo zarron ko aftab kar lenge  dhoop ke jo khvahan hain raat ke andhere men  kyun nahin jala lete ansuon ki qindilen log kyun hirasan hain raat ke andhere men  khaufnak avazen vahashiyon ke hangame  raunaq-e-bayaban hain raat ke andhere men  raushni to pahunchi hai sirf chand logon tak ab bhi kitne insan hain raat ke andhere men  din ki raushni men jo sab se be-takalluf hai ham se kyun gurezan hain raat ke andhere men  tirgi se ladne ka hausla nahin jin men  Un ke jism larzan hain raat ke andhere men  ujle ujle chehron par aks dilrubai ke kis qadar numayan hain raat ke andhere men  Dhundhte hain sab apne apne ham-navaon ko aaine pareshan hain raat ke andhere men  kis ke naqsh-ha-e-pa rahnuma hue Adil rastey daraḳhshan hain raat ke andhere men  Mahfuzur Rahman Adil آپ نور افشاں ہیں رات کے اندھیرے میں یا ستارے رقصاں ہیں...

Jot hai zeest ki maut ka teer hai by Tanveer Qazi

جوت ہے زیست کی موت کا تیر ہے

(ابا جی کے لئے فادر ڈے پر)

تصویروں میں اک تصویر ہے 
جس کے لئے یہ گھر دلگیر ہے

روشنی میں پیوست اندھیرا 
جوت ہے زیست کی موت کا تیر ہے

ریت سکھاتا چلتا دریا
 مچھلی مچھلی اک زنجیر ہے

ہے جگنو بن رات کا ماتھا
 ایک اسیری دامن گیر ہے

گیلی ہے مٹھی کی مٹی
 پرسہ دیتا نیلا نیر ہے

قبرستان کا زرد کبوتر

دانہ ڈالو کوئی فقیر ہے

تنویر قاضی 

जोत है ज़ीस्त की मौत का तीर है
(अब्बा जी के लिए फ़ादर डे पर)

तस्वीरों में एक तस्वीर है
 जिस के लिए यह घर दिलगीर है

रौशनी में पैवस्त अंधेरा
 जोत है ज़ीस्त की मौत का तीर है

रेत सुखाता चलता दरिया 
मछली मछली एक ज़ंजीर है

है जुगनू बिन रात का माथा
 एक असीरी दामनगीर है

गीली है मुट्ठी की मिट्टी 
पुरसा देता नीला नीर है

क़ब्रिस्तान का ज़र्द कबूतर
दाना डालो कोई फ़क़ीर है


तनवीर क़ाज़ी 


Jot hai zeest ki maut ka teer hai

(Abba ji ke liye father's day par)

Tasviro mein ek tasveer hai 
jis ke liye yeh ghar dilgeer hai

Roshni mein paiwast andhera 
jot hai zist ki maut ka teer hai

Reit sukhaata chalta dariya 
machhli machhli ek zanjeer hai

Hai jugnu bin raat ka maatha 
ek aseeri daaman geer hai

Geeli hai mutthi ki mitti
 pursa deta neela neer hai

Qabristan ka zard kabootar
Dana daalo koi faqeer hai.

Tanveer Qazi

Comments

Anonymous said…
बहुत ही सुन्दर
Fizza Khan said…
واااہ وااااہ
دل پزیر
Anonymous said…
بہترین